bikhri thi har samt jawani raat ghaneri hone tak lekin main ne dil ki na mani raat ghaneri hone tak dard ka dariya badhte badhte sine tak aa pahuncha hai aur chadhega thoda pani raat ghaneri hone tak aag pe chalna qismat mein hai barf pe rukna majburi kaun sunega apni kahani raat ghaneri hone tak us ke bina ye gulshan bhi ab sahra jaisa lagta hai lagta hai sab kuchh be-mani raat ghaneri hone tak khun-e-jigar se hum ko charaghan karna hai so karte hain apni hai ye rit purani raat ghaneri hone tak jin honton ne pyase rah kar hum ko apne jam diye yaad karo un ki qurbani raat ghaneri hone tak dil mein apne zakhm-e-tamanna aankhon mein kuchh khwab liye barson hum ne khak hai chhani raat ghaneri hone tak