haalat ki ujdi mahfil mein ab koi sulagta saz nahin naghme to lapakte hain lekin shoalon sa kahin andaz nahin har barg-e-hasin ko dete hain zakhmon ke mahakte nazrane kanton se bada is gulshan mein phulon ka koi dam-saz nahin ya saya-e-gul ka hai ye karam ya farq hai dane pani ka panchhi to wahi hain gulshan mein pahli si magar parwaz nahin marqad sa bana hai khushbu ka munh band kali ke sine mein ai sham-e-gulistan tu hi bata ye bhi to kisi ka raaz nahin chhilke na subu aur jhum uthen qatra na mile aur pyas bujhe ye zarf hai pine walon ka saqi ka koi eajaz nahin ai sehn-e-chaman ke zindani kar jashn-e-tarab ki tayyari bajte hain bahaaron ke kangan zanjir ki ye aawaz nahin