tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae ab itni raat gae kaun apne ghar jae ajab nasha hai tere qurb mein ki ji chahe ye zindagi teri aaghosh mein guzar jae main tere jism mein kuchh is tarah sama jaun ki tera lams meri ruh mein utar jae misal-e-barg-e-khizan hai hawa ki zad pe ye dil na jaane shakh se bichhde to phir kidhar jae main yun udas hun imshab ki jaise rang-e-gulab khizan ki chap se be-sakhta utar jae hawa-e-sham-e-judai hai aur gham lahaq na jaane jism ki diwar kab bikhar jae agar na shab ka safar ho tere husul ki shart farogh-e-mahr tera e'tibar mar jae