haalat ne dhae hain sitam aur tarah ke is daur ke insan ko hain gham aur tarah ke badhta hun main jab manzil-e-idrak se aage milte hain tere naqsh-e-qadam aur tarah ke todo to badal lete hain ye aur hi paikar hain but-kada-e-dil mein sanam aur tarah ke sau bar padho phir bhi muafi na khulenge mazmun hain mere dil mein raqam aur tarah ke suli nazar aaegi to dil nach uthega hum aadmi hain apni qasam aur tarah ke tarikh mein is daur ke insan ke hathon hote hain kuchh ahwal raqam aur tarah ke ab un se nae zehn talluq nahin rakhte tamir hon ab dair-o-haram aur tarah ke rakha jo qadam rah-e-mohabbat mein to jaana pech aur tarah ke hain to kham aur tarah ke ab dil bhi 'hunar' aap naya laen kahin se ab shahr-e-hasinan mein hain gham aur tarah ke