haalat se samjhauta to karna hi paDega

haalat se samjhauta to karna hi padega
is aag ke dariya se guzarna hi padega

takmil-e-junun ke liye ai baadiya-paima
kuchh roz bayaban mein thaharna hi padega

badhti chali jati hain shar-angeziyan us ki
lagta hai hamein ran mein utarna hi padega

manzur-e-nazar hona hai to apne lahu se
hum sab ko 'arusana sanwarna hi padega

qurbani-o-isar se jaanen na churaen
jine ki tamanna hai to marna hi padega

jazbaat ko ab surat-e-alfaz-o-maani
har safha-e-hasti pe bikharna hi padega

jo kilk-e-tasawwur ne kabhi khinche the 'rahbar'
rang ab tumhein un khakon mein bharna hi padega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close