inqilabaat-e-musalsal ka asar dekha hai

inqilabaat-e-musalsal ka asar dekha hai
main ne aibon mein hunar khair mein shar dekha hai

gardish-e-waqt ne jab se mera ghar dekha hai
zist ko waqf-e-gham-e-sham-o-sahar dekha hai

khun-e-dil khun-e-wafa khun-e-jigar dekha hai
ye tamasha ba-sar-e-rah-guzar dekha hai

aaj phir tutne wali hai qayamat shayad
aaj phir us ne ba-andaz-e-digar dekha hai

jis ko duniya ne bithaya tha kabhi palkon par
aaj usi shakhs ko pamal-e-nazar dekha hai

mani-e-harf-e-zawal us ko bhala kya malum
jis ne suraj ko faqat waqt-e-sahar dekha hai

phir bhi aasuda na ho pain nigahen 'rahbar'
main ne har-chand use ta-hadd-e-nazar dekha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close