haalat to dekh li meri chashm-e-pur-ab ki saqi nahin hawas mujhe jam-e-sharab ki dil ko sharar-e-shola-e-gham ne jala diya pahlu se aa rahi hai jo khushbu kabab ki kis ki shamim ne use aisa basa diya aati hai apni khak se khushbu gulab ki afsana-e-guzishta ye kahta hai mujh se dil kya zikr un ka bhuliye baaten hain khwab ki is bargah-e-ahmad-e-mursal ke samne waqat nahin hai kuchh bhi falak se habab ki az-farsh ta-ba-arsh munawwar usi se hai aisi chamak hai rauza-e-ali-janab ki kyunkar na hun main naghma-sara un ki nat mein bulbul hun bostan-e-risalat-maab ki is dahr-e-be-baqa se lagaun main dil ko kya hasti hai ek wusat-e-mauj-e-sarab ki izzat na tere arsh pe kyun kar malak karen tu hai 'jamila' khak-e-qadam bu-turab ki