haalat use dil ki na dikhai na zaban ki khair us ne na ki baat to hum ne bhi kahan ki pahle to hansa zor se phir aah-o-fughan ki masti mein qalandar ne badi dur ki han ki allah ka banda koi ghar se nahin nikla tafsir sabhi karte rahe kaun-o-makan ki ek us ka sarapa hai ki bas mein nahin aata kya ho gai haalat mere andaz-e-bayan ki ek ek sitamgar ko tasawwur mein bula kar shamshir-e-zaban hum ne bhi kal khub rawan ki tufan-e-maani mere har lafz ke pichhe tezi hai har ek sher mein dilli ki zaban ki sahra-e-adam ka bhi 'shuja' khub maza hai tum sochte rahte ho faqat gulshan-e-jaan ki