phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha chand jin chaar gawahon ko nazar aaya tha rang phulon ne chune aap se milte julte aur batate bhi nahin kaun idhar aaya tha bund bhi tishna ababil pe nazil na hui warna baadal to bulandi se utar aaya tha tu ne dekha hi nahin warna wafa ka mujrim apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya tha bhul baithe hain nae khwab ki sarshaari mein is se pahle bhi to ek khwab nazar aaya tha