haar bana in para-e-dil ka mang na gajra phulon ka

haar bana in para-e-dil ka mang na gajra phulon ka
aur kahan se aashiq-e-muflis lae ye gahna phulon ka

dekhe hai wo sehn-e-chaman mein ja ke tamasha phulon ka
daghon se ban jae ye sina kash ki takhta phulon ka

kash dil-e-sad-chaak ye ban kar bechne wala phulon ka
ku-e-butan mein ja ke pukare lo koi gajra phulon ka

harf nahin hai dida-e-tar tukdon se jigar ke laeq par
sail-e-ashk ko dariya samjho us ko nawada phulon ka

subh nahin be-wajh jalae lale ne gulshan mein charagh
dekh rukh-e-gulnar-e-sanam nikla hai wo lala phulon ka

mujh ko na le chal baad-e-bahaari rang-e-chaman hai wahshat-khez
jeb se le kar daman tak sau tukde karta phulon ka

tu ne litaya angaron par subh talak ai wada-khilaf
teri khatir hum ne kiya tha shab ko bichhauna phulon ka

silk-e-sarishk-e-surkh zamin tak tujh ko dikhawe mizhgan se
phuljhadi aisi chhod koi hun main bhi lachha phulon ka

kan se tere jhuk jhuk kar ye leta hai bose aariz ke
ya to hamare tukde kar ya tod ye baala phulon ka

dhup mein us ka hae qafas sayyaad sitam ijad rakhe
rahta tha jis murgh-e-chaman ke sar par saya phulon ka

jhal khae aghyar na kyun kar kul chilwan se hat nikal
mara tha us parda-nashin ne mujh ko pankha phulon ka

ishq mein tere gul kha kar jaan apni di hai 'nasir' ne aah
us ke sar-e-marqad par gul-ru la koi duna phulon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close