khushi yaad aai ki gham yaad aae magar tum hamein dam-ba-dam yaad aae jo tum yaad aae to gham yaad aae jo gham yaad aae to hum yaad aae chhida zikr jab un ke jaur-o-sitam ka mujhe un ke lakhon karam yaad aae mohabbat mein ek waqt aisa bhi guzra na tum yaad aae na hum yaad aae falak par jo dekhe mah-o-mehr-o-anjum hamein apne naqsh-e-qadam yaad aae muqaddar ko jab bhi sanwara hai hum ne teri zulf ke pech-o-kham yaad aae ajab kashmakash hai ki jina na marna 'sahar' us se kah do ki kam yaad aae