haare hue logon ki kahani ki tarah hain hum log bhi bahte hue pani ki tarah hain duniya tere hone ka yaqin kyun nahin karti hum bhi to yahan teri nishani ki tarah hain chupke se guzarte hain khabar bhi nahin hoti din raat bhi kam-bakht jawani ki tarah hain gar nam kamana hai tumhein itna samajh lo aansu bhi mohabbat ki nishani ki tarah hain is bar hai hona bhi na hone ke barabar is bar to hum jaise kahani ki tarah hain