bashinde haqiqat mein hain hum mulk-e-baqa ke kuchh roz se mehman hain is dar-e-fana ke dil khun ho shab-e-wasl bhi hasrat mein na kyun-kar dekhen na wo khalwat mein bhi jab aankh utha ke farmaiye hum se thi yahi shart-e-mohabbat khub aap ne ruswa kiya ghairon mein bula ke kuche mein na aae koi main jaan gaya hun farmate ho mujh se ye raqibon ko suna ke dil hath se kho jata hai kis taur se zahid to aap zara dekh le us kuche mein ja ke khak-e-dar-e-jaanan hai libas-e-tan-e-uryan aashiq tere mohtaj nahin aur qaba ke hum sar ke bal aaenge jo bulwaoge sahab gar ho na yaqin dekh lo tum chaho bula ke ho saya-e-diwar tumhaara jo mayassar phir kya karen farmaiye sae ko huma ke dil khol ke kar lijiye ai hazrat-e-dil sair hum phir ke na phir aaenge is bazm se ja ke tan khak mein mil jaega ek roz hamara ji tan se nikal jaega manind hawa ke