habs talluqat mein dur na ja idhar udhar ghair hawa nahin ki bas chum liya idhar udhar dekh rahi hai kisht-e-dil ashkon ki bewafaiyan ab ke baras baras gai sari ghata idhar udhar jaan meri shikast se shor tera hai har taraf sath mere bikhar gai meri nawa idhar udhar dil ko mere tera ye shauq tujh se bhi tha aziz-tar teri gali ke aas-pas main jo raha idhar udhar dekhiye kab kahan koi kaise ise uchhaal de sikka-e-waqt par hain naqsh shah-o-gada idhar udhar rah mein ruk ke kis liye puchhen kisi se rasta khwab ka ye safar hai aur khwab mein kiya idhar udhar hosh jo tha so ek umr mujh ko kahin na le gaya kam to nahin ki le gaya us ka nasha idhar udhar