muKhaalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun

mukhalif aandhiyon mein azm ke dipak jalata hun
kabhi jab waqt padta hai to khud ko aazmata hun

main shahzada hawa ka hun khala meri riyasat hai
kabhi main udte udte aasman ko phand jata hun

kabhi main ret hi se khelta rahta hun bachchon sa
kabhi main zat ke gahre samundar mein nahata hun

kabhi be-khud pada rahta hun main parda-nashin ho kar
kabhi fitrat ke ek ek raaz se parde uthata hun

kabhi ehsas ka ek khar chubh jae to ro utthun
kabhi main dar ke takhte pe chadh kar muskuraata hun

kabhi main rote rote hans diya karta hun pagal sa
kabhi main hanste hanste aansuon se bhig jata hun

kabhi main be-his-o-harakat pada rahta hun pahron tak
kabhi main zindagi ke saz par naghme sunata hun

kabhi zarkhez dharti ko bhi khatir mein nahin lata
kabhi banjar zamin mein aas ke paude lagata hun

main ek qatra hun lekin ab samundar ban gaya samho
main ek naddi se mil kar su-e-manzil bhaga jata hun

meri fitrat ajab hai aaj tak main bhi nahin samjha
wo jin ke par nahin hote unhen udna sikhata hun

main gahre paniyon ko chir deta hun magar 'hasrat'
jahan pani bahut kam ho wahan main dub jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close