had-e-imkan KHalaon se pare mangta hai

had-e-imkan khalaon se pare mangta hai
lafz wo apne khayalon se bade mangta hai

roz hota hai hamesha ke liye mujh se juda
roz uth kar wo tahajjud mein mujhe mangta hai

ek arsa hua is tark-e-marasim ko magar
ab bhi wo mujh se mohabbat ke sile mangta hai

zindagi ishq-e-butan mein hai guzari jis ne
ab wo mandir bhi farishton se bhare mangta hai

ek tuti hui kashti ka musafir hai magar
qulzum-e-dard kinaron pe chadhe mangta hai

jo duaon ko samajhta tha ziyan harfon ka
log lakhon wo janaze mein khade mangta hai

apne dushman se wo chhupne ke liye mujh se 'naim'
apne bichhde hue yaron ke pate mangta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close