tufan badal gae kabhi dhaare badal gae maujon ke sath sath kinare badal gae gham-ha-e-zindagi ke sahaare badal gae masti bhari nazar ke ishaare badal gae tari faza-e-kaif pe be-kaifiyan si thin uthi jo wo nazar to nazare badal gae is wardat-e-khas ka kis se karun gila badle hain jab se aap sitare badal gae thandi hui na ashk-e-rawan se bhi gham key aag aansu badal gae ki sharare badal gae sunte hi 'raushni' key ghazal log kah uthe gham-ha-e-zindagi ke nazare badal gae