had-e-nazar se mera aasman hai poshida khayal-o-khwab mein lipta jahan hai poshida chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum yaqin guman mein gum hai guman hai poshida palak pe aa ke sitare ne dastan kah di jo dil mein aag hai us ka dhuan hai poshida ufuq se ta-ba-ufuq hai sarab phaila hua aur is sarab mein sara jahan hai poshida sitara kya mujhe aflak ki khabar dega? nazar se us ki to mera jahan hai poshida tu khud hai khar-o-zabun hirs-o-az-e-duniya mein khulega tujh pe kahan jo jahan hai poshida main aankh khol ke takta hun dur tak 'anwar' ki dhund lun jo mera aashiyan hai poshida