had-e-ufuq par sara kuchh viran ubharta aata hai

had-e-ufuq par sara kuchh viran ubharta aata hai
manzar ke kho jaane ka imkan ubharta aata hai

pas-manzar mein 'feed' hue jate hain insani kirdar
focus mein rafta rafta shaitan ubharta aata hai

pichhe pichhe dub rahi hain umr-e-rawan ki manfaten
aage aage ek bhaari nuqsan ubharta aata hai

jaise main dabta jata hun un aaankhon ke bojh tale
dil par do ashkon ka ek ehsan ubharta aata hai

ek tashannuj ek hichki phir ek nili zahrili qai
kya kuchh likh dene jaisa haijaan ubharta aata hai

'saz' meri jaanib uthti hai raat gae angusht-e-alast
ruh mein ek bhula-bisra paiman ubharta aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close