wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha hath mein wo hath le kar umr bhar chalta raha ek aansu yaad ka tapka to dariya ban gaya zindagi bhar mujh mein ek tufan sa palta raha jaanti hun ab use main pa nahin sakti magar har jagah sae ki surat sath kyun chalta raha jo meri nazron se ojhal ho chuka muddat hui wo khayalon mein basa aur sher mein dhalta raha ranj tha 'gulnar' mujh ko us ko bhi afsos tha der tak rota raha aur hath bhi malta raha