had-e-unwan se aage aakhir afsane kahan jate teri mahfil se badh kar tere diwane kahan jate haqiqat se guzar kar aaina-khane kahan jate agar hum tak nahin aate to paimane kahan jate gham-e-dauran ne badh kar lau badha di sham-e-hasti ki gham-e-jaanan ke ye bhatke hue jaane kahan jate nigahen thin hamari farq-e-khas-o-am se aage agar wo aa bhi jate hum se pahchane kahan jate ye rindon ki hai shan-e-be-niyazi saqiyo warna na jaane tum kahan hote ye maikhane kahan jate bharam ashk-e-alam ka rakh liya zarron ke sinon ne sitaron ki jabinen warna sulgane kahan jate bahaar aae baghair un par 'shifa' hai be-khudi tari bahaar aati to kya malum mastane kahan jate