hirs-e-dua na ho hawas-e-iltija na ho ulfat ka jab maza hai koi muddaa na ho tu un ki bewafai pe shikwa-sara na ho qadr-e-wafa na ho wo agar bewafa na ho taswir ban ke dekh ba-adab-e-did unhen jumbish na ho nigah ko dil bolta na ho aasudagan-e-aish bataen wo kya kare jis ko ba-qadr-e-hausla gham bhi mila na ho ai be-khudi khudi ki taraf aankh pher de dekhen kahin hijab-e-khudi mein khuda na ho is waqt shayad un ka pata mil sake tujhe jab tera apni hasti ki had tak pata na ho izhaar-e-muddaa ho 'shifa' is ada ke sath dast-e-dua bhi waqif-e-nafs-e-dua na ho