hadd-e-nigah sham ka manzar dhuan dhuan chhane laga hai zehn ke andar dhuan dhuan girti hui phuwar banati hui dhanak kuchh der baad rah gai ho kar dhuan dhuan lahron se khelta hua kirnon ka ek hujum uthta hua sa dur ufuq par dhuan dhuan udte hue parind khalaon mein gum hue phir rah gaya nigah mein jam kar dhuan dhuan kanon mein kashtiyon ki sada gunjne lagi phir samne hai ek samundar dhuan dhuan