ho nahin pai hai nuqsan ki talafi ab tak bhul pae nahin guzra hua mazi ab tak bas gae shahr mein fitrat nahin badli ab tak aisa lagta hai ki insan hai wahshi ab tak ab ye jaana bhi koi jaana hai jaane wale hai tere hone ki har ek nishani ab tak aur ab kya use murda hi bana daloge kam wahi kya hai jo kuchh dil pe hai guzri ab tak waqt tha kaun sa lamha jo khata kar baitha kyon ye jari hai tabahi pe tabahi ab tak tu ne manga hi nahin mangne walon ki tarah warna rahti nahin khali teri jholi ab tak ai qayamat tu abhi dur hi rahna kuchh roz hum to chadh pae hain bas pahli hi sidhi ab tak teri mehnat mein nahin koi kami ai 'jawed' ho nahin pai hai allah ki marzi ab tak