haden badhne lagi thi tirgi ki kami jab ho gai thi raushni ki khuda tu hi bata kis baat pe ye saza hum ko mili hai zindagi ki koi karta nahin hai intizar ab zarurat bhi nahin padti ghadi ki karen duniya jahan ki fikr kyon hum hamari umr hai aawargi ki hum ek muddat se roe ja rahe hain chukani pad rahi qimat hansi ki khushi mein yaad na aai khuda ki jab aaya gham usi ki bandagi ki main ab har chiz se ukta chuka hun mujhe mat do duaen zindagi ki