dil ke KHatir ye badan hai qaid-KHane ki tarah

dil ke khatir ye badan hai qaid-khane ki tarah
so laga hai phadphadane ye parinde ki tarah

ho pari koi ya koi phul hi ho kya hua
koi bhi pyara nahin hai us ke chehre ki tarah

chand hai jo aasman mein wo to hai us ki jabin
aur tare hain ye sare us ke jhumke ki tarah

dekhta hi kyun na jaun baith ke main bas use
us ka chehra hai hasin koi nazare ki tarah

katti hain baad tere roz hi raaten mujhe
yaad teri sine pe chalti hai aare ki tarah

hum in aankhon se use har roz padhte aae hain
wo badan to yaad hai do ke pahade ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close