hadis-e-ishq-o-mohabbat ka raazdan hun main jo mawara-e-takallum hai wo bayan hun main ba-qaid-e-hosh na wabasta-e-fughan hun main ye kya maqam hai ai dil bata kahan hun main bhatak gaya hun ki nazdik-e-astan hun main khayal-e-dost thahar dekh lun kahan hun main asir-e-wahm hun pa-basta-e-guman hun main yaqin ki had se abhi dur hun jahan hun main bhula diya jise duniya ne wo fasana hun sune na jis ko zamana wo dastan hun main teri nigah mein wo kya hai kya nahin malum wo lafz jis ka ba-in-haal tarjuman hun main nigah-e-barq mein din raat yun khatakta hun chaman mein jaise koi shakh-e-ashiyan hun main jise na mil saka unwan wo ek fasana hun jo na-tamam hai 'zamzam' wo dastan hun main