bata tu hi ki teri yaad kaise dur ho dil se bhare dariya ki maujen bhi kahin hatti hain sahil se gul-o-lala to hain ai baghban khamosh taswiren chaman bedar hota hai faqat shor-e-anadil se sanbhalne de zara ai zauq-e-gharqabi sanbhalne de pukara hai kisi ne dubne wale ko sahil se irada us musafir ka koi samjhe to kya samjhe hazaron bar ja kar jo palat aaya ho manzil se udhar ki nargis-e-makhmur ne tir-afagni 'zamzam' idhar utthi sada-e-afrin ushshaq ke dil se