hadis-e-soz-o-saz-e-sham-o-parwana nahin kahte hum apna haal-e-dil kahte hain afsana nahin kahte wahi mai-nosh raaz-e-baada-e-ulfat samajhte hain jo masti ko rahin-e-jam-o-paimana nahin kahte saadat soz-e-dil ki bhi badi mushkil se milti hai sar-e-mahfil har ek shoale ko parwana nahin kahte hamara tuta saghar hi hamare kaam aaega kisi ke zarf ko hum apna paimana nahin kahte ye kaisa inqalab aaya jahan-e-be-niyazi mein ki wo bhi apne diwane ko diwana nahin kahte 'figar' ashaar mein apne hain raqsan shokhiyan gham ki kali ki dastan phulon ka afsana nahin kahte