dushman ke tanz ko bhi saliqe se tal de apne mazaq-e-taba ki aisi misal de bakhshe bahaar ko jo na shaistagi ka rang aisi har ek shai ko chaman se nikal de pichhli ruton ke dagh to sab mand pad gae ab ke bahaar zakhm koi la-zawal de main bhi to rah-rau hun tera rahguzar-e-shauq thodi si dhul meri taraf bhi uchhaal de 'masum' saf-goi badi chiz hai magar aisa na ho kahin ye musibat mein dal de