hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun

hadisa ban ke har ek roz guzar jata hun
ek virane ki banhon mein thahar jata hun

subh ko jab bhi jagati hai koi mayusi
shab ki aankhon mein kisi khwab sa bhar jata hun

aur jab dhup jalati hai safar mein mujh ko
main pighal kar kisi sae mein pasar jata hun

gher leti hai mujhe dekh ke mauqa aksar
dil mein tanhai ki is bhid se dar jata hun

ye hi mamul hai har din ka har ek lamhe ka
tujh ko jite hue ai zindagi mar jata hun

koshishen kitni hi karta hun sametun khud ko
jaane kya hota hai har bar bikhar jata hun

bhul jata hun kahin rakh ke main khud ko aur phir
sochta rahta hun aakhir main kidhar jata hun

silsila sath mere aisa hai tufanon ka
ek se bachta hun to duje mein utar jata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close