hadisa ye sar-e-bazar bhi ho sakta hai dil kisi roz giraftar bhi ho sakta hai meri tahzib se khushbu na nikali jae warna lahje mera talwar bhi ho sakta hai apni aankhon se pilane ki koi baat bhi kar mai-kada dur hai inkar bhi ho sakta hai aaj-kal wo bhi mulaqat pe aamada hai aaj ki raat chamatkar bhi ho sakta hai shahzade se kaho mahl se bahar bhi rahe ye kanizon mein giraftar bhi ho sakta hai masala ye hai ki untiswin shab hai lekin baadalon chand ka didar bhi ho sakta hai