jab main kirdar tak nahin aaya ghar se bazar tak nahin aaya us ko rakkha ghazal ke lahje mein phir bhi izhaar tak nahin aaya aise mansur ki qayamat kya jo kabhi dar tak nahin nahin aaya jaane kis kis ka ghar jala hoga aaj akhbar tak nahin aaya zindagi us ke nam aise ki harf inkar tak nahin aaya