hadon se badh ke mukammal hudud saunpta hun teri thakan ko main apna wajud saunpta hun ragon mein khun ki hiddat se khushk-sali hai main us rawani ko rasm-e-jumud saunpta hun wo mujh se dur to main us se dur hone laga main barguzida aziyyat ko sud saunpta hun main saunp dene ki manzil talak nahin pahuncha magar kisi ko qayam-o-sujud saunpta hun wo be-zaban khuda kar raha tha sargoshi main marifat ke tanasub se jud saunpta hun to kya ye lafz bhi khali hain manawiyyat se zabur-e-jism ko ruh-e-daud saunpta hun mera wajud madina shumar hota hai main jab bhi dil se dahan ko darud saunpta hun nabi ka beta hun nisbat hai mo'atabar meri kisi ko faqr kisi ko numud saunpta hun ayan bhi hona hai lekin nihan bhi rahna hai so ghaebana ada ko warud saunpta hun mujhe hai khauf-e-zamana na niche dab jae main apne sar ka falak ko umud saunpta hun tu meri aankh ke hujre mein laut aaega main tujh ko donon-jahan ki hudud saunpta hun tu dekhne ka irada to bandh ai 'kazim' main teri aankh ko ramz-e-shuhud saunpta hun