mujhe kis tarah se na ho yaqin ki use khizan se gurez hai jo nasim-e-subh-e-bahaar ko mere gulsitan se gurez hai ye ubudiyat ka hai iqtiza ki usi pe kham ho meri jabin ye ghalat kisi ne hai kah diya tere aastan se gurez hai hai ajib qism ki bad-zani mujhe us ki koi khabar nahin gul-o-khar ko bhi bahaar mein mere gulsitan se gurez hai kuchh ajab nahin jo qadam qadam mere rahbar hi hon rahzan nahin muttafiq koi fard jab mujhe karwan se gurez hai mere dagh-e-dil ki hi tabishen hain jamal-bakhsh dil-o-nazar yahi baat hai ki tamam shab mujhe kahkashan se gurez hai ye shakeb se nahin aashna ise kuchh wafa se gharaz nahin yahi raaz hai yahi wajh hai jo dil-e-tapan se gurez hai hai talash-e-wusat-e-la-makan ki jahan pe kuchh ho sukun-e-dil ho jahan bhi bandish-e-ab-o-gul mujhe us makan se gurez hai ye tazad-e-ishq 'ghubar' hai koi kis tarah se samajh sake kabhi pa-e-baz pe sar hai kham kabhi aastan se gurez hai