hadse phail gae saya-e-mizhgan ki tarah gham-e-dauran bhi mila hai gham-e-jaanan ki tarah lakh paiwand umidon ne laga rakkhe hain dil ki surat nazar aati hai gareban ki tarah koi aflak-nashin hai to pukare mujh ko hasraten khak-basar hain meri tufan ki tarah aur honge wo mayassar hai jinhen lutf-e-bahaar hum to gulshan mein bhi rahte hain bayaban ki tarah jo bhi gul hai yahan firdaus bana baitha hai kaun khilta hai yahan ghuncha-e-isyan ki tarah ye bhi eajaz kahin baad-e-mukhalif ka na ho dil uda jata hai aurang-e-sulaiman ki tarah khauf-e-mahshar se na ghabrao tum ai baada-kasho dar-e-tauba bhi khula hai dar-e-zindan ki tarah hum kiya karte hain ashkon se tawazoa kya kya jab khayalon mein wo aa jate hain mehman ki tarah na koi saz na sangit na pazeb na git uf ye mahaul ki hai shahr-e-khamoshan ki tarah hum tere misr mein aae hain zulekha-e-shikam bik na jaen kahin hum yusuf-e-kanan ki tarah