wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha ki ab to shauq rahat-e-visal hi nahin raha tamam hasraten har ek sawal dafn kar chuke hamare pas ab koi sawal hi nahin raha talash-e-rizq mein ye sham is tarah guzar gai koi hai apna muntazir khayal hi nahin raha in aate jate roz-o-shab ki gardishon ko dekh kar kisi ke hijr ka koi malal hi nahin raha hamara kya banega kuchh na kuchh to is pe sochte magar kabhi hamein gham-e-maal hi nahin raha tumhaare khal-o-khad pe ek kitab likh rahe the hum magar tumhaara husn be-misal hi nahin raha sanwarta nikhaarta main kaise apne aap ko tumhaare baad apna kuchh khayal hi nahin raha zara si baat se dilon mein itna farq aa gaya talluqat ka to phir sawal hi nahin raha