hadson ka silsila manzar-ba-manzar jam gaya har kisi ke dhad pe ek firaun ka sar jam gaya khak ki kashti tale sone ka saghar jam gaya dida-e-be-khwab mein khwab-e-sikandar jam gaya mausamon ke bich ki duri ka andaza lagao bah gae parbat pighal kar aur samundar jam gaya ladkhada kar gir padi unchi imarat dafatan dafatan tamir ki kursi pe khandar jam gaya rifat-e-charkh-e-barin mahdud ho kar rah gai jab saron par dhund ka saffak lashkar jam gaya dida-e-gurba se kya phuti shua-e-jaan-guza phadphadaya tak nahin zinda kabutar jam gaya ahl-e-duniya se mujhe to koi andesha na tha nam tera kis liye mere labon par jam gaya