hadson ko main hadsa na kahun ab kisi chiz ko bura na kahun dil mein mere jo sath rahta hai sochta hun use juda na kahun mujh se mera zamir kahta hai un khudaon ko main khuda na kahun aaj tak main samajh nahin paya kya kahun tum se aur kya na kahun us ki rahmat ka aasra hai mujhe na-khudaon ko main khuda na kahun jis ne barbaad zindagi kar di us ko 'sarwar' main be-wafa na kahun