jab main dil ka hisab likhta hun gham ko apne gulab likhta hun koi ummid jab nahin hoti khud ke khat ka jawab likhta hun itna mayus us ne kar dala us ka jalwa hijab likhta hun lakh samjhae mujh ko tu naseh teri baaten azab likhta hun sari duniya hai jaanti 'sarwar' main to ghazlen kharab likhta hun