hadson ne hi mujh ko pala hai rup rang is liye nirala hai us ki chup ne bata diya tha saf dagh daman pe lagne wala hai kuchh to apni zaban daraaz karo kyon pada lab pe tere tala hai aankh ke gird jo ye halqe hain hijr ke ratjagon ka haala hai dar-o-diwar zist ke hain hile aisa apnon ne rakhna dala hai warna 'shaim' kabhi ke mar jate gham-e-dauran ne hi sanbhaala hai