gham se nibah kar ke jiye ja raha hun main

gham se nibah kar ke jiye ja raha hun main
khud ko tabah kar ke jiye ja raha hun main

rah-e-wafa mein apni luta kar mata-e-zist
bas aah aah kar ke jiye ja raha hun main

mujh ko kahin farishta na baithen samajh ye log
qasdan gunah kar ke jiye ja raha hun main

aangan tera chamakta damakta rahe sada
jiwan siyah kar ke jiye ja raha hun main

zar zan zamin khushiyan han shohrat sukun bhi
in sab ki chah kar ke jiye ja raha hun main

'shaim' wafa ka badla mujhe to nahin mila
duniya gawah kar ke jiye ja raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close