hadson se be-khabar the log dharti par tamam aasman ki nilgun aankhon mein the manzar tamam rafta rafta rasm-e-sang-bari jahan se uth gai dhire dhire ho gae basti ke sab patthar tamam tishna-lab dharti pe jab bahta hai pyason ka lahu muddaton maqtal mein sar kham rahte hain khanjar tamam zindagi bikhri hui hai is tarah footpath par bastiyan aabaad hain aur log hain be-ghar tamam shahrahen dafatan shoale ugalne lag gain ghar ki jaanib chal pada hai shahr ghabra kar tamam subh ke sare ujale raston mein kho gae shab ke andhiyaron mein gum hain sham ke manzar tamam ab kahan wo log wo raunaq wo naghme wo faza shahr ki galiyan hain suni sune baam-o-dar tamam