hae dam bhar bhi dil thahar na saka hath sine pe koi dhar na saka aaina kis se dekha jata hai rashk ke mare wo sanwar na saka rah gaya aankh mein nazakat se dil mein naqsha tera utar na saka is jahan se guzar gae lakhon us gali se koi guzar na saka mai-kashi se najat mushkil hai mai ka duba kabhi ubhar na saka mera nama khat-e-muqaddar tha ki nazar se teri guzar na saka jo tere ishq mein tabah hua koi us ko tabah kar na saka aag aisi lagi thi sine mein aankh se dil mein wo utar na saka mausam-e-gul mein bhi 'jalil' afsos daman apna gulon se bhar na saka