ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai

ye kis ke aastane ki zamin malum hoti hai
ki jumbish mein meri lauh-e-jabin malum hoti hai

do-rangi dair-o-kaba ki nahin malum hoti hai
haqiqat aashna meri jabin malum hoti hai

main chahun bhi to sang-e-astan se uth nahin sakta
ki juzw-e-astan apni jabin malum hoti hai

dawan hai kashti-e-umr-e-rawan yun bahr-e-hasti mein
kahin ubhri kahin dubi kahin malum hoti hai

ye ek be-rabt si jama-dari aur apne hi hathon
jahan pahle tha daman aastin malum hoti hai

ye jalwa-zar-e-duniya bhi ajab aaina-khana hai
ki har taswir hairat-afrin malum hoti hai

tajalli husn-e-jaanan ki nahin mauquf aiman par
jahan mahsus karta hun wahin malum hoti hai

nazar aate hain jalwe wo jahan ke un ki chaukhat par
khudai ab mere zer-e-nagin malum hoti hai

utar aaya hai naqsha aastan-e-yar ka 'afqar'
jabin-e-shauq ab meri jabin malum hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close