hae kya pur-fareb sazish hai shahr ka shahr nazr-e-atish hai jam-e-jamshed zer-e-gardish hai dekhte jaiye numaish hai aam zulm-o-sitam ka charcha kyon khas lutf-o-karam ki barish hai puchhti hai zaban khanjar ki kya abhi zindagi ki khwahish hai khauf-o-dahshat ke sune jangal mein sabr-o-himmat ki aazmaish hai aql ke dushmanon ko kya kahiye ilm ke makhzanon pe bandish hai kya abhi sans le rahe ho 'zafar' ji huzur aap ki nawazish hai