kya se kya aaKHir junun-e-fitna saman ban gaya

kya se kya aakhir junun-e-fitna saman ban gaya
barq-o-tufan ban gaya bagh-o-bahaaran ban gaya

kal talak jis khwab ki tabir raqs-o-rang thi
ab wo khwab-e-zindagi khwab-e-pareshan ban gaya

chal rahi thi sans jab tak raaz andar raaz tha
aur jab tar-e-nafas tuta to tufan ban gaya

khun-e-dil ka ek qatra ek harf-e-na-tamam
padhne walon ke liye tarikh-e-dauran ban gaya

badh gai jab apni had se jurat-e-awargi
khud junun minnat-kash-e-chaak-e-gareban ban gaya

dur ras bhi kis qadar thi jalne wale ki nazar
badhte badhte dagh-e-dil aakhir charaghan ban gaya

baat un ki rah gai sara gila bhi dhul gaya
samne jab aa gae wo main pasheman ban gaya

zindagi aasan bhi thi aur thi dushwar bhi
dil ba-qadr-e-zarf 'ramish' jalwa-saman ban gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close