hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz

hae laya na koi qasid-e-dilbar kaghaz
ho gaya gham se hamara tan-e-laghar kaghaz

nama-e-yar ke likhne ko mujhe arzan hai
tol de gar koi sone ke barabar kaghaz

yun lifafe mein hamara hai kalam-e-shirin
jis tarah bandhte hain qand ke upar kaghaz

na-tawani se nahin hai mujhe mumkin harakat
main hun harfon ki tarah mera hai bistar kaghaz

haal likkha hai jo main ne badan-e-laghar ka
le uda tinke ki manind kabutar kaghaz

main ne likha hai jo apna ye musibat-nama
mohr karne ko karun ashk se ab tar kaghaz

mere name ko agar dast-e-hinai mein wo le
waraq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaghaz

haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho
kabk ki chonch qalam baal samundar kaghaz

is qadar misl-e-qalam main ne jabin-sai ki
ban gaya ghis ke dar-e-yar ka patthar kaghaz

yar ne khat mein jo likkha hai ki na aana hargiz
ho gaya mere liye sadd-e-sikandar kaghaz

sath name ke gai jaan bhi su-e-jaanan
ho gaya tair-e-jaan ke liye shahpar kaghaz

nahin tohfa khat-e-jaanan ke barabar koi
hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaghaz

ja-e-jarrah ki ab nama-bar aa pahuncha hai
badle phahe ke rakhun dagh-e-jigar par kaghaz

kya main iflas mein khat yar ko likkhun 'nasikh'
na qalam hai na siyahi na mayassar kaghaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close