hael hain ashk rah mein kaise nazar mile barish agar thame to musafir ko ghar mile aae charagh sham laga lun gale tujhe donon ko ye umid nahin hai sahar mile daur-e-jadid mein jo badhi faslon ki baat ji chahta nahin ki nazar se nazar mile ab to junun ke hath se patthar nikal gae ab hum bhi chahte hain ki shishe ka ghar mile 'saulat' wo kya maqam tha saat thi kaun si thahre hue jahan tumhein sham-o-sahar mile