darogh ke imtihan-kade mein sada yahi karobar hoga jo badh ke taid-e-haq karega wahi sazawar-e-dar hoga bila-gharaz sada sada baaton se dal den rasm dosti ki jo silsila is tarah chalega wo laziman paedar hoga chalo mohabbat ki be-khudi ke hasin khalwat-kade mein baithen ajib masrufiyat rahegi na ghair hoga na yar hoga tere gulistan ki aabru hai mahak teri infiradiyat ki tu kasmapursi se bujh bhi jae to ghairat-e-nau-bahaar hoga jahan na tu ho na koi hamdard ho na koi sharif dushman main sochta hun mujhe wo mahaul kis tarah sazgar hoga bahisht mein bhi janab-e-zahid tumhein na tarjih mil sakegi wahan bhi khush-zauq aasiyon ka tapak se intizar hoga 'adam' ki shab-kheziyon ke ahwal yun sunate hain us ke mahram ki sunne wale ye man jaen koi tahajjud-guzar hoga